Ek Din achanak, Alsayi Dopahar ki masrufiyat mein, Anmane jashn ki kaifiyat mein.. Ek jhonke se khul gayi Puraani ek kitaab Phadphadaate panne Gulabi alfaaz Bulaane lage phir paas.. Bahut roka khud ko Par sambhaala na gaya Band pada tha jaise sailaab Mukhatib ho unhi harfon se Phir padha maine wahi Pichla adhoora wahi kalaam Waqt ke saath aur haseen ho Chali theen aayatein Kuch nagme jud gaye the Aur Kuch kahaniyan nayi Par kuch hi panno baad Wahi berang kore kaagaj the Ek kahani aisi Jiska anjaam na likha gaya.. Na likha jayega… Kasmasaate mann se band kar di Makhamali chauband mein lapet kar Rakh de waapas sambhaal kar Ek kahani ki kitab..