Ek Din achanak,
Alsayi Dopahar ki masrufiyat mein,
Anmane jashn ki kaifiyat mein..
Ek jhonke se khul gayi
Puraani ek kitaab
Phadphadaate panne
Gulabi alfaaz
Bulaane lage phir paas..
Bahut roka khud ko
Par sambhaala na gaya
Band pada tha jaise sailaab
Mukhatib ho unhi harfon se
Phir padha maine wahi
Pichla adhoora wahi kalaam
Waqt ke saath aur haseen ho
Chali theen aayatein
Kuch nagme jud gaye the
Aur Kuch kahaniyan nayi
Par kuch hi panno baad
Wahi berang kore kaagaj the
Ek kahani aisi
Jiska anjaam na likha gaya..
Na likha jayega…
Kasmasaate mann se band kar di
Makhamali chauband mein lapet kar
Rakh de waapas sambhaal kar
Ek kahani ki kitab..
Comments
Post a Comment